Life Me Khuse Kaise Rahen? Hamesha Khush Rehane Ke Kya Tarike He? Jeevan Me Aisa Kya Kare Jisase Hame Khushi Mile? In sab Qustions ka jwab dene Ke Liye he aaj ki ye post 40 Tips For Happyness. jisame hamne Khush rehane ke Liye Bahut Hi Aasan Tips & Triks bataye he, jinhe apnakar aapki bhi zindagi khushiyo se bhar jaegi ye mera wada he aapse.
Life me aksar ham bahut kuch pana chahte he aur nirantar jane kya kya pane ki koshish me lage rehate he ye sochkar ki ye hame khushi dega par aksar esa hota nahi aur ham nirash ho jate he. ye nirasha mansik tanav ko janm deti he. bas yahi se ye silsila chalu hota he.
Aksar ham bahut kuchh pane ke chakkar me denik jivan ki un choti-choti khushiyo ko miss kar dete he jo wakai me hame pal-pal khushi ka ehasas kra sakti he.isliye hame kabhi bhi in choti choti khushiyo ko in moko ko nahi gawana chahiye aur zindagi ko khul ke jina chahiye.
Ek mashoor kahawat h use hamesha yad rakhe "kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta, kabhi zami to kabhi asma nahi milta" iska matlab h ki aap apni soch me zara sa badlav karke swayam ko khush aur tarotaza mehasus kar sakte he.
Life me aksar ham bahut kuch pana chahte he aur nirantar jane kya kya pane ki koshish me lage rehate he ye sochkar ki ye hame khushi dega par aksar esa hota nahi aur ham nirash ho jate he. ye nirasha mansik tanav ko janm deti he. bas yahi se ye silsila chalu hota he.
Aksar ham bahut kuchh pane ke chakkar me denik jivan ki un choti-choti khushiyo ko miss kar dete he jo wakai me hame pal-pal khushi ka ehasas kra sakti he.isliye hame kabhi bhi in choti choti khushiyo ko in moko ko nahi gawana chahiye aur zindagi ko khul ke jina chahiye.
Ek mashoor kahawat h use hamesha yad rakhe "kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta, kabhi zami to kabhi asma nahi milta" iska matlab h ki aap apni soch me zara sa badlav karke swayam ko khush aur tarotaza mehasus kar sakte he.
Think Positive-Sakaratmak Soch
Khus rehane ka dusra niyam ye he ki hamesha sakaratmak soch rakhe, negativity ko apne man se aur ghar se door rakhe kyoki nakaratmak soch aur nakaratmak vatavaran hamare tan aur man dono ko prabhavit karte he. ap apne past se sikhe aur bhavishya ke prati ashawan rahe jiye vartman me. yani aj me aur abhi me jina sikhe.
Bhoot aur bhavishya ke bich ka jo samay he ye vartman vastaw me yahi jivan he.jo aaj me nahi jite wo sirf aur sirf apne jivan me ashanti aur tanav ko jama karte he apni life me. apke jeevan me chahe jitni hi mushkile kyo n aye ap apni soch hamesha sakaratmak rakhe isse apka manobal badata he aur apko zindagi ki mushkilo se ladane me sahayata milati he.
Bhoot aur bhavishya ke bich ka jo samay he ye vartman vastaw me yahi jivan he.jo aaj me nahi jite wo sirf aur sirf apne jivan me ashanti aur tanav ko jama karte he apni life me. apke jeevan me chahe jitni hi mushkile kyo n aye ap apni soch hamesha sakaratmak rakhe isse apka manobal badata he aur apko zindagi ki mushkilo se ladane me sahayata milati he.
Confidence Me Rahe
Atmvishwasi bane hamesha confidence me rahe. jeevan ke kisi bhi kshetra me safalta pane ke liye atmavishvas ka hona bahut zaroori he.ap bhale kese bhi ho kam attaractive ho gore ho kale ho par kabhi bhi apne aap ko kisi se kam na samajhe ishvar agar kisi me koi thodi si kami chodata he to use usake badale koi gun extra deta he use pehachane. yeh hamesha man ke chale aap jo bhi kar rahe he ya karte he wo best he.
logo ki bhalai kare
Kabhi-kabhi kisi asahay ki madad karne se bhi hamare man ko bahut hi shanti ka anubhav hota he ye bhi ek prakar ki khushi he.aap apne as-pas bhi esi khushi ka anubhav kar sakte he jese safar me kisi ko bethane ke liye seat dena, kisi bude andhe ko sadak par karana, kisi garib ko khana khilana pakshiyo ko dana dalna aadi chote chote tariko se bhi ham denik jivan me khushi ka anubhav kar sakte he.
Vartaman Me Jina
Kal kya hone wala he ye kisane dekha he. bhavishya ke bare me sochana achi bat he par har pal bhavishya ke bare me sochana buri bat he.is kyoki isse apka ye jo aj h ye isi fikra me nikal jata he aur kuchh hasil nahi hota. bhavishya ya bhavishya me aane wali pareshaniyo ke bare me agar aap har pal nahi sochenge to wo pareshaniya chhoti hoti chali jaenge aur ek din aap apni har problem asani se solv kar le jaenge.
Subah Jaldi Uthe
Subah subah jaldi uthane ki aadat dale isse ap din bhar urjawan aur tanavmukt mehasus karenge. iske liye aap alarm mobil me na lagakar ghadi me lagae jisse apko use band karne ke liye uthana padega.
Hamesha Rote na Rahe Bhagya Ko
Kuchh logo ki adat hoti he hamesha rote rehane ki jab dekho tab meri kismat hi kharab he mere jivan me khushi he hi nahi. aap jesa sochate he jesa bolte he asal me aap vesa hi jivan jine lagate he.jo apko life me nahi mil paya usko lekar rote na rahe.jo apko mila he uski sarahana kare aur apne ap ko khush rehane ka sandesh de.
Aksar apni samasyao se akele ladate rehane se bhi vyakti ke man me chidchidapan aa jata he isliye apni problems mitro se shair kare aur solutions puche. ho sakta he unke pas bettar solution ho.
Aksar apni samasyao se akele ladate rehane se bhi vyakti ke man me chidchidapan aa jata he isliye apni problems mitro se shair kare aur solutions puche. ho sakta he unke pas bettar solution ho.
Sabhi ki zindagi me khushiya hoti he par insan ke pas jo he wo usaki parwah nahi karta aur jo nahi he usake piche bhagta he.isse wo life aur time dono kharab karta he. ao esi hi kuchh buri adato ke bare me jante he jo hame khushiyo se door karti he.
Apne Dil Ki Awaz Ko Na Sunna
Apni antaratma ki awaz ko sune wo kare jo apka dil kehata he.apni icha ke virudh keval dikhave aur dhan kamane ke liye hi karya na kare wo hi kare jo apka dil chahta he,apki antaratma agar kisi karya ko galat manti he wo karne se aap kabhi khushi nhi pa sakte.
Dusaro Ke Mamle Me Dakhal Dena Dusaro Se Tulna Karna
Jo log aksar dusaro ke mamlo me dakhal dete he ya dusro ki fati me tang adate he vo bhi kabhi khush nahi rehate isiliye hamesha apne kam se kam rakhana chahiye. dusari bat khud ki tulna dusaro se na kare isse khud ki khushiya aur uplabdhi bhi bekar nazar aati he isliye sadev apne kam se kam rakhe.
Dusaro Ko Apni Khushi Ka Kendra Banana
Ashavadi log kabhi bhi dusaro ko apni khushi ka kendra nahi banne dete.apki khushi apki apni he isame kisi ki ray ki koi zarorat nahi he.apko agar khushi milti he to kisi ki ray ki koi zarorat nahi isake bina bhi ap khush rah sakte he.
Nakaratmak Vatavaran
Nakaratmak typ ke logo ka sath khud b khud apki khushiya chin leta he.ho sakta he apko kisi mazburi ya kam ki wajah se nakaratmak vatavaran me rehana pad raha ho to waha par kuchh apne hisab se badlaw kare jisse waha ki negativity kam ho aur bure logo ki sangat chode jisse ap par kam prabhav ho.
Maf Na Karna
Kshma veerasya bhushanam kisi ko maf karne wala pap karne wale se hamesha bada hota he.ve log sadev prasann rehate he jo maf karne aur bhul jane me vishwas rakhate he.isliye apne asantosh ko door kare taki apka past apko prabhavit n kare.
Har Bat Apne Upar Lena
Jo log har bat ko vyaktigat taur pe lete ho ve sada asantusht rehate he. koi apki burai kar raha he ya prashansa use sune par vyaktigat tor pe na le ignor kare jab jawab de to apni puri shakti ke sath hi de.
Badale Ki Bhawana Me Jina
Aksar hamare sath zindagi kuchh esa hota he ki hamara man kisi se badale ki bhawana se bhar jata he, ese me sirf ham kuntha me jite he aur badala lekar bhi apna bhavishya khatre me dalte he. hame chahiye ki jo hua wo hamare bure waqt ki den tha kyoki jab samay bura aata h to dost bhi dushaman jesa vyavar karne lagta he.
Ye time time ki bat he jo hona he wo kisi n kisi ke rup me apna karya to karwayega hi na to ese me kisi vyakti vishesh se dushmani palne se kya labh isse ham hamesha ashanti me jite he. hota sab bhagya ka khel he. ese me apni aaj ki khushiyo ko nasht na karte hue age bade khush rahe.
Ye time time ki bat he jo hona he wo kisi n kisi ke rup me apna karya to karwayega hi na to ese me kisi vyakti vishesh se dushmani palne se kya labh isse ham hamesha ashanti me jite he. hota sab bhagya ka khel he. ese me apni aaj ki khushiyo ko nasht na karte hue age bade khush rahe.
Khud Par Vishwas Rakhe
Kehate he "mushkil rah bhi asan ho jati he, har rah pe pehachan ho jati he. jo log muskura ke karte he samna kismate unki gulam ho jati he." kyoki "khushi wo ehasas he jisaki har kisi ko talash he. gam wo anubhav he jo sabke pas he.' zindagi to wahi jita he mere dost jisako khud pe vishwas he.
Khush Rehane Ke 10 Upay.
1- khushmizazi
Insan ka khushmizaz hona bahut zaruri he. khushmizaz log kisi bhi mushkil ka samna bahut asani se kar lete he.
2- Apne Andar Ki Khushi Ko Pehachane
Aap apne jivan me kya kar rahe vyapar shiksha samaj seva ya naukari isse koi fark nahi padata kyoki iske bhitar chupi ek hi bhawna he ki isse apko khushi milegi.
Is dharti par aap jo kuch bhi karte he wo khush rehane ki icha se hi karte he, kyonki yahi hamari mool prakrati he. jab aap bache the to aap u hi khush the. ye hi apki mool prakriti he. aap hamesha ke liye use jivant anubhav bana sakte he.
3- Chizo Ke Importens Ko Jane
Aaj subah surya kese uga subah kesi thi ful khile the k nahi bahar ka mosam haste khilkhilate hue bacche subah ki chay se lekar ghar ki wo choti choti khushiya aap khush hote he par aap ke dimag me vicharo ka koi kida apko kuchh yad dilata he aur apko lagta he kitna bura din he isliye wo chize jo apko din suru hote hi khushi deti he ya de sakti he us chiz ke mahatwa ko jane aur khush rahe.
Kasht isliye bhi hota he kyoki log jivan ke pratisahi nazariye ko hi kho bethe he. unki manovegyanik prakriya astitva ki prakriya se kahi badi ho gai he. is bat ko ham puri tarah kho bethe he ki yaha jivit rehane ke kuchh mayne he. apke dimag me aya hua koi vichar ya man me ayi hui koi bhawana apke anubhav ki prakriya ko tay karti he.
Ye bhi ho sakta he ki apke man me ayi hui bhawana ya vicharo ka apke jindagi ki simit hakikat se koi lena dena nahi hai. puri srashti me sab kuchh achi tarah se gjatit ho raha he par apke dimag me aya koi bura vichar sab kuchh nasht kar deta he.
4- Apne Man Ko Pehachane
Jise aap apna man kehate he veh man vastaw me apka man nahi he samaj ka kudedan he. apke as pas rehane wale apke pas se guzarne wale apke man me kuch na kuch dal dete he. aap yeh tay nahi kar sakte ke inme se apko kya rakhna he aur kya nahi. agar apko lagata he ki ye insan bahut bura he to aap sabse jyada usi se grahan karenge.
Agar apko is bat ki jankari ho ki isko thik karke kese istemal karna he to ye kudedan apke liye upyogi sabit ho sakta he. asar aur jankari ka ye dher jo apne jama kiya he wo sirf jine ke liye kafi he. ap kon he isse uska koi sambandh nahi he.
5- Man Se Apne Astitva Ki Or Bade
Jab bhi ham adhyatm ki bat karte he to man se apne buniyadi astitwa ki or jane ki bat karte he. zindagi ka sambandh is srishti se he uske asali roop ko pehachanana uska anubhav karna aur use apane manmutabik vikrit na karna hi jivan he.
Agar apko hakikat me apne astitwa ki or badana he to ye dhyan rakhana hoga ki jo aap sochate he wo mahatwapurn nahi he, jo ap mehasus karte he wo bhi mahatwapurn nahi he. aap jo sochate he asal zindagi me usake koi mayne nahi he. uska jivan me koi bada mahatwa nahi he. man sirf un bekar ki chizo me uljha rehata he jo apne kahi aur se ikattha ki hui he.
Agar apko ye mahatwapurn lagti he to aap kabhi iske pare nahi dekh payenge. apka dhyan usi disha me jata he jise aap sabse jyada importent samajhate he. agar aap apne man ke vicharo ko aham mante he to swabhavik he ki apka sara dhyan usi or hoga.
Magar ye sirf ek manovegyanik haqikat he. uska asal zindagi se koi lena dena nahi he. kasht ham par barsaya nahi jata. use banane wala karkhana hamare man me hi. ab use band karne ka samay aa gaya he.
6- Khushi Ki Talash
Ham itne zor shor se khushi ki talash kar rahe he ki dharti ka astitwa hi khatre me pad gaya he. khushi ki talash karne ke bajae apni khushi ko abhivyakt kare. aap jab apne atit me jhankenge to apko pata chalega ki zindagi ke sabse khubsurat pal wo nahi the jab aap apni khushi talash rahe the balki wo the jab aap apni khushi abhivyakt kar rahe the.
Jo aap bachate he wo kabhi apka gun nahi ho sakta. jo aap bikherte he logo me wahi apka gun he. agar aap apni khushi ko bacha kar rakhenge to koi apke ant par ye nahi kahega ki usane ans ans khushi bacha ke rakhi thi aur kitni sari khusi ke sath mara.
Log yahi kahenge kitna bhayanak prani he apni zindagi me kabhi muskuraya tak nahi. aur agar aap logo me khushi bikhernge to log yahi kahenge ki kitna khushmizaz vyakti tha.
7- Muskurate Rahe
Subah uthe aur sabse pehale ek kam kariye, muskuraiye. par kis bat pe wo is bat pe ke lakho log kal soye unme se kai kabhi uthe hi nahi aap uthe isi bat par muskuraiye. ye meri apni ray he aap koi bhi udaharan le sakte he koi bhi bahana.
Isake bad jo apko as pas dikhe use dekh kar muskuraiye. bahar jaiye aur ped paudho ko dekhiye ye bhi kal rat nasht nahi hue kya badiya bat he.
8- Khud Ko Yad Dilaey
Kuch logo ko bhul jane me bas kuchh hi time lagta he. fir unka rengane wala dimag kisi ko katane ke liye atur ho jata he. jivan ki ahamiyat ko jane, isliye apne aap ko har din ye yad dilaye ke me sahi salamat hu tum salamat ho kya badiya bat he. agar aap samvedanshil he to har ghante apne aap ko yad dilaye. aur jyada samvedanshil he to har adha gante me yad rakhe jivan ki ahamiyat ko.
9- Khud Ko Badale
Vartman me apake jivan ki gunvatta is bat se tay nahi hoti ki aap ke kapade kese he, apke pariwar ki sthiti kesi he, aap kya khate pite he, balki is bat se ki aap khush he ke nahi. vastav me jis vyakti ke pas do waqt ka khana nahi he, usake liye khana milna hi badi bat he, jisake pas jivan ki buniyadi chizo ki kami he hame usaki sahayata karni chahiye isse use aur hame dono ko khushi milti he.
Lekin dusaro ki bat kare to unake liye buniyadi chizo ka matlab ek antheen suchi he ek andha kuan jo kabhi nahi bhar sakta. car se chalne wala vyakti pedal chalne wale vyakti se jyada khush he, esa nahi he apke pas kya he isse koi fark nahi padata balki apki khusi is bat par nirbhar he ki aap us waqt kesa mehasus kar rahe he.
10- Hasane Wali Chize Dekhe
Hasi mazak bhi man ko khush takhane ka asan tarika he. isiliye hamesha esi chizo se khud ko na roke jisse apko hasi aati ho, ese dosto se mile jo bahut maskhare ho. lafter shows dekhe ya comady movee bhi dekh sakte he.
11- Bahar Nikale
Aap chahe jaha rehate ho bahar tehalne ki adat dale. as pas ke parivartan ko dekhe. garden me jae waha bethe. subah ki dhoop zaroor le kyoki vitamin D ki kami se ham bahut jald dipretion ka shikar ho sakte he.15-20 minut suraj ki roshani me zaroor bitay.
12- Vyayam Kare
Roz niyamit vyayam kare, esa kam kare jisse apko pasina aaye.isse apke sharir ke akar ke sath dimag bhi tez kam karta he. isliye vyayam karna na bhule.
13- Sharir Ki Malish Kare
Sharir ko aram dene aur man ko khush rakhane ke liye malish bhi ek asan tarika he.roz kuch samay sarir ki malish karne se bhi ap furtila aur khush mehasus karte he.bas ek perfact place ho.
14- Ghar Pe Room Freshner Use Kare
Ghar par room freshnar us kare hamesa. apni pasand ka perfume chidake kapdo par jisaki khushbu me aap khoye rahe aur apne gam bhul jae.
Khush Rehane Ke Tips
* Aksar ham jesa chahate he vesa hota nahi he.aap puri mehanat karte he par fal apke hisab se nahi milta. kabhi jab ham apni pasand ka job karte he par waha pesa kam milta he, to kabhi paisa acha milta he to job acha nahi milta. kabhi job aur pesa dono ache hote he to ghar se dur kahi bahar kam karna padata he.
* Ese me vyakti succesfull hone ke bad bhi khush nahi rehata. ese me ham log apne aas pas ki choti choti chizo ko nazarandaz kar dete he, in par bhi gaur karke ham apne man ko dilasa de kar khush reh sakte he.
* Khush rehane ke tarike hame bachpan se hi pata rehate he par zindagi ki bagdod me ham unhe bhul chuke hote he. ese me zarurat he bachpan ke un dino un shararato ko yad karne ki, thoda bacho wali harkate karke to dekhe.
* Muskuraiye jyada aur shikayate kam kare. har chiz par tunakane wale vyakti ko koi pasand nahi karta bache din bhar haste rehate he, kabhi kadar hi kisi bat par shikayat karte he.
* Naye logo aur purane dosto se milte rahiye. apna fon uthakar dekhe ki wo kon se dost ya rishtedar he jinhe apne kafi samay se fon nahi kiya he, unhe fon kare bat kare man ka bojh halka hota he isse. agar apke pados me koi naye log shift hue he to unase age hoge parichay kare apna.
* Apane pariwar ko thoda jyada samay de. jis tarah aap school ke dino me school se akar apne ghar me din bhar ka hal sunate the, thik usi prakar sham ko chay ke waqt ya dinner ke samay family se bat kare din bhar ka hal sunaye unase bhi puche tumara din kese bita.
* Ashawadi baniye jab sab kuch khatm ho jae to samajho ki bahut kuchh hone wala he ye wakai sach he. agar apko lagata he ki duniya bahut buri he aur halat battar hote ja rahe he, log kitana bure he to wakai me apko achi chize dikhana hi band ho jaengi. hamesha ye soche jo hota h ache ke liye hi hota he, jo hoga acha hi hoga.
* Chutti le aur ghumane nikale jab kisi kam ki koi fikra na ho apke ariya se 50 kilomitar ke andar zaroor kuchh esa hoga jise apne nahi dekha hoga. bacho ko piknik pe le jae, restorent jae.
* Maf karna sikhiye har class har office me wo vyakti logo ka fevouriet hota jo logo ki bato ko nazarandaz karke sabhi se hila mila rehata he. is bat ka ap par aur logo par bhi sakaratmak prabhav padata he.
* Apna lakshya nirdharit kare ya aap jo chahte he use partime me kare. isse apko zaroor khushi milegi aur alasya se bhi aap door rahenge.
* Koi janvar pale jagah kam ho to kutta pale. ye insan ka sabse karibi aur vafadar dost he. vyakti apne janvar se emotionaly attech rehate he to ve dog kabhi apne ko akela nahi mehasus karte aur bachho ki tarah unse khelte he pyar karte he finaly khush rehate he.
Zindagi Me Khush Rehane Ke 14 Tarike
1- Khush rehane wale khud pr kabhi avishwas nahi karte.
2- Khush rehane wale ajnabi logo ko nazarandaz nahi karte.
3- Khush rehane wale kisi ko kuch isliye nahi dete ke unhe kuch chahiye.
4- Khush rehane wale kisi ko bina badale svikar karte he.
5- Khush rehane wale dimag se hi nahi dil se bhi kam lete he.
6- Khush rehane wale kisi bat ko kabhi personaly nahi lete.
7- Khush rehane wale apne dar par kabu rakhte he.
8- Khush rehane wale kisi ko bhi kshma kar dete he.
9- Khush rehane wale kisi vivad me nahi padate ya padate h to santi se.
10- Khush rehane wale apne sapno apni ichao ko nazarandaz nahi karte
11- Khush rehane wale apne antarman ki avaz sunte he.
12- Khush rehane wale apne as pas ke badlaw ko khushi se svikar karte he.
13- Khush rehane wale esa nahi sochate ki ve tut chuke he.
14- Khush rehane wale dusaro ko dosh nahi dete balki apni zindagi ki puri zimmedari swayam lete he.
Jeevan Me Sada Kush Rehane Ke Liye y kuch khas upay jo mene diye he ye bahut hi usefull he aur mene bhi inhe apne jeevan me azmaya he ummid he ye meri pehali post apko zarur pasand ayegi.agar esa he to ise apne friends se zaroor shair kare.
Shweta, i have no gf, so i become sad. Please help me to get for gf
ReplyDeleteBahut Acha sirji shi kha Apne osammm....
ReplyDeleteTnx
ReplyDeleteVery nice, good contact very help full
ReplyDeleteKhush kaise rahe
nice
ReplyDeletesayri achhi lagi
ReplyDelete