Sundar Saf Suthari Aur Gori Twacha Pane Ke Liye Kya Kare? Agar apko bhi Twacha Sambandhi Samasyaye He aur aap bhi ek sundar bedag gori aur chamakdar skin pana chahati he to apko vitamin-A, vitamin-D, vitamin-C aur Fresh Fruits ka sevan karna hoga.
Niyamit dincharya apnani hogi. khush rehane ki koshis kare. Chehare par jhurriya padane ka kya karan hai? keval badati umr hi nahi balki polution, vitamin D3 ki kami, jyada cosmetics ka use bhi hote he. ese me hame apni skin pe khas dhyan dene ki zarurat he. iske liye ye 5 Skin Problem Solution Top 10 Tips follow kare.
Also Read : Sundarta Pane Ke Liye 5 Gharelu Upay
Also Read : Top 13 Face Pack For Fair Skin
Niyamit dincharya apnani hogi. khush rehane ki koshis kare. Chehare par jhurriya padane ka kya karan hai? keval badati umr hi nahi balki polution, vitamin D3 ki kami, jyada cosmetics ka use bhi hote he. ese me hame apni skin pe khas dhyan dene ki zarurat he. iske liye ye 5 Skin Problem Solution Top 10 Tips follow kare.
Also Read : Sundarta Pane Ke Liye 5 Gharelu Upay
Also Read : Top 13 Face Pack For Fair Skin
Treatment Of Wrinkle In Hindi
1- Do chammach anar (pome granet) ke chilake ka powder le, isame doodh mila le. Agar apki Dry Aur Oily Skin dono he to isame gulabjal milaey. Is pest ko 15 minut tak lagane ke bad garm pani se dho le. Ye apki Skin Ki Jhurriyo ko halka kar deta he aur nayi koshikao (cells) ka nirman karta he jisse twacha par umr ka asar nahi dikhai deta.
2- Ek chammach santre ke chilke ka powedar le. Usame do chammach dahi mila le. Ise chehare pe lagakar 15 minut bad dho le.isse jhurriyo me kami aati he.
3- Ek nibu ko bich se katkar isaka sara ras ek katori me nikal le. Isake chilako ko bhi isi ras me katkar mix kar le. Isame thoda sa shahed (honey) mix kar ke niyamit use karne se kale dhabbe, Keel-Muhase aur Pigmentation me labh milta he.
4- Ek katori me seb ka peal aur santre (orenge) ka juice mila le. Isame haldi powedar aur honey mix kar le. Ab isame 2 tabel spoon milk mila kar halka grind kar le. 20 minut tak ise laga kr dho le.
5- Kele ke chilke me ande ki zardi milakar apni bejan twacha par 15 minut tak lagaey, fir dho le apki twacha damakane lagegi.
6- Hare papite ke taza hisse ko kat kar mask bana kar lagaey. Aap chahe to papaya powdar bhi le sakti he. Papita apki Skin Tone ko sudhar dega aur apko jhurriyo se mukti milegi.
Fair Skin (Gori Twcha) Pane Ke Liye Imali Ke 8 Usefull Tips
1- Imali ko pani me bhigo de fir kuchh samay bad us pani me se imali ko nikal de aur usse apana chehara dhoye.
2- Imali ko doodh me pis kar usaka pest bana kar saptah me do bar chehare par lagaey aur sukh jane par dho le.
3- Mrit koshikao ( Dead Skin Cells ) ke liye imali ka skrub banakar use kare.
4- Garmiyo me imali ke pani me gulab jal milakar skin toner ki tarah use kare.
5- Ankho Ke Niche Kale Ghere (dark cercle) Hone Par Kya Kare? imali ka pest banakar ankho ke niche 10 minut tak lagaey. Bad me thande doodh se dho le.
6- Imali ka pest banane ke liye imali ke sare beej hata kar dho le. Usame thoda sa haldi powedar aur milk milakar 10 minut ke liye chod de. Isako aap skin whitening ke roop me bhi laga sakti he.
7- Skin Lightning Ke Liye Kya Kare?bhi aap imali ke juice ka stemal kar sakte he. Isake liye imali ke tukado me se beej nikal kar halke gungune pani me bhigo de. Thodi der bad imali ko nikal kar usame thoda aur pani mila de.is ras ko aap skin lightning me use kar sakti he.
Rukhi Twacha (Dry Skin) Treatment 4 Best Banana Face Pack
1- Kele ko masal kar usame thoda sa honey milakar face pack banaye.15 minut bad dho le, isse skin me glow aata he aur wrincals bhi dur hote he.
2- Pake hue kele ko white butter ke sath mix kar ke lagaey. 15 minut bad gungune pani se dho le. Is pack ko lagane se skin soft ho jati he Rukhi Twacha Ke Liye Ye Best Trick he.
3- Pake hue kele ko dahi ke sath mix kar ke 15 minut tak lagaey. Isse skin hydret hogi aur rukhapan door hoga.
4- Pake hue kele me ek chammach nibu ka ras milakar chehare aur gardan par lagane se jhaiya aur dag dhabbe dur hote he. Ye Skin Damage se bhi bachata he.
4- Pake hue kele me ek chammach nibu ka ras milakar chehare aur gardan par lagane se jhaiya aur dag dhabbe dur hote he. Ye Skin Damage se bhi bachata he.
Top 7 Black Head Treatment In Hindi
1- 2 Chammach beking soda, adha chammach namak aur ek chammach pani milakar pest banaey. Is mishran ko chehare pe halke se ragadiye aur fir chehara dho le.
2- Nibu ke chilake ko chehare pe halke hatho se ragadane se black head samapt ho jate he.
3- Roz tamatar ke tukade ko chehare pe ragadane ke bad halke garm pani se dho le. Isse bhi black head jaldi hi chale jate he.
5- Otmeel ghise hue badam ko mix kar ke pest banaey. Ise apne chehare pe laga ke rakhe. Sukh jane par halke garm pani se saf kar le.
6- Ande (egg) ke safed bhag me nibu ke ras ko milakar pest bana kar lagaey. Sukh jane par ise dho le.
7- Shehad (honey) ko skin pe lagakar thodi der bad dho le.
Keel Muhase (Pimple) Ke Liye Gharelu Upay
1- Chehare par keel muhase hone par nibu ke ras ka sevan kare. Isame paye jane wale antioxident khoon ko saf karte he aur sharir se west ko bahar karta he. Isse skin bhi saf aur chamakdar hoti he.
2- Lahasun (garlic) body me hone wale sankraman aur gande bacteria se ladta he. Pimples ki roktham ke liye ye super food he.
3- Akharoth ko niyamit roop se khane se twacha mulayam bani rehati he. Isame ek esa acide paya jata he jo skin ko smooth rakhta he.
4- Tarbooz khane se bhi chehare ke dag dhabbo se chutkara paya ja sakta he. Isame paye jane wale vitamin-A, B aur C skin ko fresh, hidred aur chamkila banate he.
5- Rasbhari aur ese hi khatte fal jisame antioxident aur fiber paya jata ho wo skin ko dag dhabbo se bachate he.
6- Dahi me antifungal aur antibacterial tatwa paye jate he. Ye skin ki andar se safai karta he.
7- Seb me kafi matra me peptin paya jata he. Isliye isaka chilke sahit sevan karna zaroori he skin k liye.
Podina Use Karne Ke Fayde
1- Podine ko pis kar shahad (honey) ke sath mix karke skin par lagane se pores saf hokar tite ho jayenge.
2- Podine ko pis kar usame gulabjal mila kar chehare pe lagaye. Ise rat bhar lage rehane de aur subah uthkar muh dho le isase muhaso se mukti milti he.
3- Podine ki pattiyo ko achi tarah se pani me ubal le. Thanda hone par spre bottal me bharkar rakh le. Ise skin toner ke roop m use kare.
4- Podina aur khire ko mix karke chehare pe lagane se jhaiya dur hoti he.
5- Ande ka safed bhag, dahi, shahad aur podina ko mix karke chehare par face pack banakar lagaye. Is past ko hafte me ek bar lagane se chehare ki jhurriya dur ho jati he.
6- Podine ki pattiyo ko piskar skin pe lagane se dark cercle dur hote he.
7- Podine ki pattiyo ko ubal kar us pani se per dhone se pero ki badabu (durgandh) door hoti he.
8- Podine aur dhaniye ki pattiyo ko 20 minut tak ubal kar us pani se bal dhone se bal saf aur chamakdar ho jate he.
9- Podine ki patti, nibu ka ras aur multani mitti ko mix karke ser pe lagane se balo ki rusi ki samasya dur hoti he.
10- Podine ke tel ki malish niyamit roop se karne se jue bag jati he.
dry skinproblem, blackhead removel tips, removel of wrinkles,pimpal hatane ke tarike in sab ke bare me apko jo jankari di gai wo apko kesi lagi ye hamezarur batae. in gharelu tips ko ek bar azma kar awashya dekhe.
Also Read : Nakhuno Ka Pilapan Kaise Dur Kare
Also Read : Badati Umar Me Twacha Ko Nikharne Ke Liye
dry skinproblem, blackhead removel tips, removel of wrinkles,pimpal hatane ke tarike in sab ke bare me apko jo jankari di gai wo apko kesi lagi ye hamezarur batae. in gharelu tips ko ek bar azma kar awashya dekhe.
Also Read : Nakhuno Ka Pilapan Kaise Dur Kare
Also Read : Badati Umar Me Twacha Ko Nikharne Ke Liye
No comments:
Post a Comment